Panjatan Pak

Saturday 8 June 2013

EK BAAR NABI KAREEM SALLALLAAHO ALAIHE WASALLAM NE SAHABA SE FARMAYA-- KYA TUMJANTE HO DIWALIYA AUR MUFLIS KAUN HAI?

SAHABA NE ARZ KIA KI HAMARE YAHAN TO DIWALIYA USY MANA JATA HAI JISKE PAS NA EK DIRHAM HO AUR NA TO KOI SAAMAAN !


AAP S.A.W. NE FARMAYA MERI UMMAT KA MUFLIS WO HAI JO KAYAMAT K DIN APNI ROZA NAMAZ AUR ZAKAT KO SATH LEKAR HAZIR HOGA, MAGAR USKE SATH WO LOG BHI HAZIR HONGE, JINME SE KISI KO USNE DUNIYA ME


- GAALI DI HOGI
- KISI PAR JHOOTA ILZAAM LAGAYA HOGA,
- KISI KA MAAL MAAR KHAYA HOGA
- KISI KA KHOON KR DIA HOGA
- KISI KO NAHAQ MARA PEETA HOGA!


TO UN TAMAAM MAZLOOMO ME US AADMI KI NEKIYAN BAANTI JAANE LAGENGI, AUR AGAR BAANT'TE BAANT'TE NEKIYAN KHATM HO JAAYENGI MAGAR USNE JIN LOGO PE ZULM KI HAI ABHI UNKE HAQ (ADHIKAAR) BAKI RH GAYE HONGE, TO UN SATAAYE HUYE LOGO KE GUNAAH IS AADMI KE HISAAB KHATE ME DAAL DIYE JAAYNGE AUR FIR ISYJAHANNUM ME PHENK DIA JAYEGA


riwayat Hazrat Abu Hurairah
"Muslim sharif kitab-32, hadith- 6251"


( Insaan khoob Ibadat kare ye bht acha hai magar uske sath he ek nek rahamdil insan banna bht zaruri hai. Aur jo aisa hum na karen aur logo ko satayen takleef den gaali den, maaren, tohmat lagayen to hamara dozakh me jana lazmi ho jata hai upar likhi hadees ke mutabik . Isliye aye mere bhaiyo apne nek aamal barbaad na hone do. )

DiL ka AaRaam, IsLam.

No comments:

Post a Comment